Sleeping Pill Tablets Name: Neend Na Aane Ki Waja Aur ilaj

Sleeping Pill Tablets Name Neend Na Aane Ki Waja Aur ilaj Neend Ki Goli
Sleeping Pill Tablets Name, Neend Na Aane Ki Waja Aur ilaj, Neend Ki Goli
Advertisement


Neend na aane ki bimari ka ilaj ya Insomnia ka elaj kuch alag tariqay se kia ja sakta hai. Pakistan aur pori dunya main millions of people raat ko neend na aany ki bemari ka shikar hain. Is ke liay wo mukhtalif qisam ki sleeping tablets use krty hain. Leken yaad rakhain keh neend naa aany ke liay musalsal sleeping pill ka use ap ki sehat ke kiay nuqsan dah ho skta hai. Is liay neend na any ki tablet ko daily use nahi krna chaiay. Aaj ki post main Ap ko neend naa aany ki wajah, is ka desi ilaj aur sleeping pill tablets name in Pakistan with price bataiy jai ge. Let’s start!

Neend Na Aane Ki Waja

Neend Na Aany ki Wajah in Urdu/Hindi: Yeh bimari aksar stress, pareshani, depression, zehni dabao, sadma ya jismani takaleef ki wajah se hoti hai. Neend naa aany ke ilaj ke liye kuch asan gharelu nuskhe aur tips bhi hote hain, jo neend ke masail ko hal kar sakte hain, Is ke sath sath sleeping pill name aur us ki price bhi batai jai gi. Tou neend naa aany ki waja jannay ke baat ab baat krty hain Neend Ki  Tablets Name in Pakistan with price.

Sleeping Pill Tablets Name in Pakistan

Yaha par neend ki goli ka naam aur price di gai hai. Yh Neend naa aany ki tablets Pakistan mein kisi bhi medical store se ya online purchase ki jaa skti hain.

نیند کی گولی کا نام

Zolp Tablet

Zolp Tablet

Zolp is a sleeping pill (neend ki goli ka name) that works by affecting the chemicals in the brain that regulate sleep. This sleeping tablet is also known as Zolpidem Tartrate (brand name) in Pakistan. It contains zolpidem tartrate, a type of non-benzodiazepine hypnotic that helps you fall asleep faster and stay asleep longer. Zolp is sold by Adamjee Pharmaceuticals.

Price: Zolp 10mg 22 tablets price in Pakistan is 460 rupees.

ALP Tablet (Alprazolam 0.5mg)

ALP tablet uses for sleep

ALP tablet uses for sleep is very popular in Pakistan. Alp tablet is a sedative/hypnotic medicine that contains 0.5mg of alprazolam. Alprazolam in ALP tablet is used to treat anxiety disorders, panic disorders and depression. It works by slowing down the activity of the central nervous system inducing a sense of relaxation and calmness.

Price: Alp sleeping tablet price in Pakistan is 65 rupees. (10 tablets)

Ambien or Ambin Tablet (Zolpidem Tartrate)

Ambien or Ambin Tablet Zolpidem (Tartrate)

Ambin is another sleeping pill brand name for zolpidem tartrate. It has the same effects and side effects as Zolp pill. Ambien is produced by Searle Pakistan Ltd.

Ambien 10mg 10 tablet price in Pakistan is 700 rupees.

Somnia Tablet

Somnia Tablet

Somnia is another sleeping tablet name in Pakistan that contains doxylamine succinate. It is an antihistamine that blocks the action of histamine, a substance that promotes wakefulness. Somnia is made by Hilton Pharma (Pvt) Ltd.

Somnia Tab 10mg 20 sleeping tablets price is 220.

Lexotanil Tablet

Lexotanil Tablet

Lexotanil is an antidepressant tablet name in Pakistan. It can also be used to treat insomnia (نیند نہ آنا). It contains bromazepam, a type of benzodiazepine that reduces anxiety and induces sleep. Lexotanil is manufactured by Martin Dow Pharmaceuticals (Pak) Ltd.

Price: Lexotanil 3mg 10 tablets price is 85 rupees.

Neend Na Aane Ki Wajah, Ilaj, Symptoms aur Treatment

Is youtube video main Dr Maryam aur Dr Khalid Jameel raat ko neend naa nay ki waja, sleeping pills ka istemal aur is ke nuqsan ke bary main bata rahy hain. Video dekhain.

Neend Na Nane Ka Desi Ilaj in Urdu

Raat Ko Neend Na Aana

Yahan kuch aise nuskhe bataye gaye hain jo insomnia (رات کو نیند نہ آنا) ke shikar honay walon ko neend ka pura arsa lene mein madad kar sakte hain:

Chamomile chai ka Istemal: Chamomile chai neend lane ka azmooda tarika hai. Is chai mein mojood kuch ajza neend ke liye faidamand hote hain. Chamomile chai ko raat ko sone se pehle piya jaye to neend ki kami ko door karne mein madad milti hai.

Aromatherapy: Jis tarah chamomile chai neend lane mein madadgar sabit hoti hai, isi tarah kuch khushbuon ke istemal se bhi neend aane mein asani ho sakti hai. Kuch khusbu jaise lavender, rose, aur vanilla ke istemal se aksar logon ko behtar neend aati hai.

Diet and food. Aisi ghizaon se door rahe jin mein caffeine, nicotine aur high sugar wala food shamil ho. Raat ko sone se pehle heavy dinner na khaein. Is ke sath sath Chai aur green tea bhi raat ko istemal naa kry.

Yoga and meditation: Yoga aur meditation, zehni dabao ko kam karne mein madad karte hain aur aksar logon ko behtar neend aane lagti hai. Is ke ilawa, kuch exercises bhi insomnia ka ilaj karne mein faidamand sabit hoti hain.

Neend ki timing: Neend ki timing ko regulate karna bohat zaroori hai. Is ke liye, apni neend ki timing ko regular karein. Har roz sone aur uthne ka time fix kar lein aur is ko follow karte hue apne jism ko train karein ke wo is time par neend ke liye taiyar ho jaye.

Apni neend ki routine banayein. Har roz ek hi waqt par sona aur uthna aap ki neend ki quality ko behtar bana sakta hai. Agar aap rozana 7 se 8 ghante ki neend lete hain to aap ka jism aur dimagh dono taza aur sehatmand rehte hain.

Din mein zyada se zyada kaam krain. Zayada kaam se aap ka jism thaka hota hai aur neend ane mein asani hoti hai. Lekin sone se 3 ghante pehle koi fizai sargarmi na karein, kyun kay is se aap ka jism garam ho jata hai aur neend na aati hai.

Sone se pehle koi stimulating activity na karein. Jaisay kay TV dekhna, mobile phone use karna, ya coffee peena. In cheezon se aap ka dimagh active ho jata hai aur neend door bhag jati hai. Sone se pehle koi relaxing activity karein, jaisay kay kitab parhna, music sunna, ya meditation karna.

Apne bedroom ko neend ke liye munasib banayein. Apne bedroom ko andhera, thanda, aur shor se pak rakhein. Andhera mein aap ka jism melatonin hormone release karta hai jo kay neend lane mein madad karta hai. Thanda mahol aap ki body temperature ko kam karta hai jo kay neend ane mein zaroori hai. Shor se aap ki neend bar bar toot sakti hai aur aap ko bechain kar sakta hai.

Conclusion:

Kisi bhi tarah ki neend ki dawa ka istemal na karein baghair doctor ki hidayat ke. Neend ki dawayein sirf short-term solution hain aur in ka istemal lambe arse tak nuqsan deh ho sakta hai. Neend ki dawayein aap ki neend ki quality ko bhi kharab kar sakti hain aur aap ko un ke baghair neend na aye. Agar aap ko lagta hai kay aap ko kisi dawa ki zaroorat hai to pehle apne doctor se mashwara karein.

Umeed hai kay yeh tips, sleeping pill tablets name aur desi ilaj aap ko insomnia ka elaj mein madad denge aur aap ko behtareen neend dilayein ge. Agar kisi ko neend na aany ki bimari bohat zyada ho, to unhein kisi doctor ya specialist se consult karna chahiye.